ye  kahāñ  se  mauj-e-tarab  uThī  ki  malāl  dil  se  nikal  ga.e
vahī  sub.h-o-shām  jo  the  garāñ  nafas-e-bahār  meñ  Dhal  ga.e
ye  dayār-e-shauq  hai  ham-nashīñ  yahāñ  laġhzishoñ  meñ  bhī  husn  hai
jo  miTe  vo  aur  ubhar  ga.e  jo  gire  vo  aur  sambhal  ga.e
hasīñ  zindagī  kī  talāsh  thī  hameñ  sarḳhushī  kī  talāsh  thī
hue  zindagī  se  jo  āshnā  to  jarāhatoñ  se  bahal  ga.e
tire  sogvāroñ  kī  zindagī  kabhī  mutma.in  na  guzar  sakī
jo  bujhī  kabhī  koī  tishnagī  ka.ī  aur  dard  machal  ga.e
mirī  ārzūoñ  ke  ḳhvāb  the  ki  fazā-e-husn-o-shabāb  the
kahīñ  nik.hatoñ  meñ  bikhar  ga.e  kahīñ  rañg-o-nūr  meñ  Dhal  ga.e
unheñ  rāhatoñ  kā  ḳhayāl  hai  na  sa.ūbatoñ  kā  malāl  hai
jo  tirī  talāsh  meñ  chal  paḌe  jo  tirī  talab  meñ  nikal  ga.e
hai  bharī  bahār  to  kyā  karūñ  na  mile  qarār  to  kyā  karūñ
mire  sāmne  haiñ  vo  āshiyāñ  jo  bharī  bahār  meñ  jal  ga.e