pahuñch  ke  ham  sar-e-manzil  jinheñ  bhulā  na  sake
vo  ham-safar  the  jo  kuchh  duur  saath  aa  na  sake
tamām  umr  pashemāniyoñ  meñ  biit  ga.ī
ba-qadr-e-shauq  mohabbat  ke  naaz  uThā  na  sake
mujhe  ḳhayāl  hai  un  dil-girafta  kaliyoñ  kā
jinheñ  nasīm-e-sahar  chheḌ  de  khilā  na  sake
kuchh  aise  dard  bhī  haiñ  zindagī  kī  rāhoñ  meñ
jahāñ  hijāb-e-tabassum  bhī  kaam  aa  na  sake
karam  kī  aas  ke  sāyoñ  meñ  bujh  gayā  vo  charāġh
havā-e-yās  ke  jhoñke  jise  bujhā  na  sake
añdherī  shab  thī  sitāroñ  se  kyā  sukūñ  miltā
sitāre  bhī  to  bahut  der  jagmagā  na  sake
ġhazal  ke  husn  kā  ehsās  us  ko  kyā  'jāved'
ḳhulūs-e-narmī-e-guftār  ko  jo  pā  na  sake