Noorain Talat Arooba

donon ko aa sakin na nibhani mohabbaten

Noorain Talat Arooba

Attock, Punjab, Pakistan

1964

donoñ ko aa sakīñ na nibhānī mohabbateñ

ab paḌ rahī haiñ ham ko bhulānī mohabbateñ

sab sar-ba-sar fareb haiñ kyā un e'tibār

ye pyaar husn ishq javānī mohabbateñ

jaane vo aaj kaun se raste se aa.e ghar

har moḌ har galī meñ bichhānī mohabbateñ

kin kin rafāqatoñ ke diye vāste magar

us ko na yaad aa.iiñ purānī mohabbateñ

guzrī rutoñ ke zaḳhm ab tak bhare nahīñ

phir aur kyā kisī se baḌhānī mohabbateñ

dil hālatoñ bayāñ sab ke sāmne

apne aap se bhī chhupānī mohabbateñ

nafrat ke vāste kabhī fursat nahīñ milī

apnī hai muḳhtasar kahānī mohabbateñ

Top Urdushayar.com