shauq  kā  silsila  be-karāñ  hai
zindagī  kārvāñ  kārvāñ  hai
hāsil-e-narmī-e-shabnam-o-gil
ātish-e-ġham  kā  sail-e-ravāñ  hai
har  nafas  meñ  tirī  āhaTeñ  haiñ
har  nafas  zindagī  kā  nishāñ  hai
apnī  vīrāniyoñ  par  abhī  tak
dil  ko  shādābiyoñ  kā  gumāñ  hai
ham-nafas  dil  dhaḌakte  haiñ  jab  tak
kārobār-e-mohabbat  javāñ  hai
tohmat-e-mai-kashī  bhī  uThā.ī
tishnagī  hai  ki  sho.ala-ba-jāñ  hai
un  ke  dāman  meñ  bhī  phuul  hote
jin  se  ra.anā.ī-e-gulsitāñ  hai