na  ġhurūr  hai  ḳhirad  ko  na  junūñ  meñ  bāñkpan  hai
ye  mizāj-e-zindagī  to  baḌā  hausla-shikan  hai
jahāñ  mil  sakeñ  na  mil  ke  jahāñ  fāsle  hoñ  dil  ke
use  anjuman  na  samjho  vo  fareb-e-anjuman  hai
ye  havā  chalī  hai  kaisī  ki  diloñ  kī  dhaḌkanoñ  meñ
na  hadīs-e-lāla-o-gul  na  hikāyat-e-chaman  hai
nahīñ  maslahat  ki  rahbar  koī  baat  sach  batā  de
zarā  kārvāñ  se  pūchho  jo  shikast  jo  thakan  hai
ka.ī  inqalāb  aa.e  ka.ī  diip  jhilmilā.e
jo  bujhī  nahīñ  hai  ab  tak  tirī  yaad  kī  kiran  hai
maiñ  ġhamoñ  kī  tīrgī  meñ  nahīñ  is  qadar  bhī  tanhā
koī  mujh  se  duur  rah  kar  mire  dil  meñ  zau-fagan  hai
nahīñ  sab  ke  saath  yaksāñ  safar-e-hayāt  pyāre
kahīñ  rañg-o-bū  ke  saa.e  kahīñ  dasht-e-pur-mehan  hai