kyā  sunā.eñ  tumheñ  koī  taaza  ġhazal
sher  hairat-zada  ābdīda  ġhazal
tum  ko  logo  abhī  bhāñgḌa  chāhiye
dard  kī  zindagī  kā  tarāna  ġhazal
vaqt  barbād  karte  rahe  is  tarah
ham  sunāte  rahe  sab  ko  taaza  ġhazal
tarjumān-e-shikasta-dilī  thī  magar
mahfiloñ  meñ  chalī  vo  shikasta  ġhazal
aadmī  ko  kabhī  bhuul  saktī  nahīñ
zindagī  se  nibhātī  hai  rishta  ġhazal
har  ghaḌī  chheḌnā  bhī  munāsib  nahīñ
ban  ga.ī  zindagī  meñ  tarāshā  ġhazal
anvar-e-be-zabāñ  aaj  iqrār  kar
raat  phir  ho  ga.ī  be-irāda  ġhazal