usī  amal  kī  zarā  sī  sharāb  detā  chal
sharar  ke  haath  meñ  koī  gulāb  detā  chal
vo  intishār-e-ġham-e-zīst  meñ  jilā  degā
magar  usī  ko  ḳhushī  kī  kitāb  detā  chal
har  ik  savāl  kā  miltā  rahā  javāb  tujhe
kisī  savāl  kā  tū  bhī  javāb  detā  chal
yahāñ  to  terī  hukūmat  kā  kārḳhāna  thā
kabhī  hamāre  ġhamoñ  kā  hisāb  detā  chal
zamīñ  sukūn  kī  hālat  meñ  aa.egī  lekin
use  'nadīm'  kī  she.arī  kitāb  detā  chal