ho  saktā  hai  koī  hameñ  bhī  DhūñDe  in  banjāroñ  meñ
jaane  kis  kī  khoj  meñ  kab  se  phirte  haiñ  bāzāroñ  meñ
umr  gañvā.ī  khoj  meñ  jis  kī  DhūñD  phire  gulzāroñ  meñ
qismat  kī  ye  ḳhūbī  dekho  aan  milā  vīrānoñ  meñ
koī  nahīñ  jo  tere  aage  husn  kā  paikar  ban  kar  aa.e
shardhā  kī  kaliyāñ  muskā.eñ  qudrat  kī  sauġhātoñ  meñ
aap  kī  ḳhushiyoñ  kī  sarhad  se  duur  hamāre  Dere  haiñ
DhūñDeñge  kuchh  log  hameñ  bhī  aap  ke  in  afsānoñ  meñ
aan  mile  to  bhuul  kā  jaadū  ham  donoñ  par  taarī  hai
kaun  batā.e  kal  kyā  guzrī  furqat  kī  barsātoñ  meñ
marne  kī  ḳhātir  jiinā  hī  jiine  kā  dastūr  nahīñ
naam  hamārā  aage  hogā  duniyā  ke  nākāroñ  meñ