sher-o-suḳhan  kī  us  mahfil  meñ  sab  se  chhoTe  ham  hī  the
sab  se  ūñche  mansab  vaale  khoTe  sikke  ham  hī  the
yaad  hameñ  hai  tum  bhī  socho  vaqt  paḌā  jab  urdu  par
sab  the  uljhī  bhāshā  vaale  urdu  vaale  ham  hī  the
daulat  shohrat  hikmat  vaale  sab  haiñ  tere  dam  ke  saath
duniyā  terī  saarī  raunaq  chhoḌ  ke  baiThe  ham  hī  the
TuuT  chuke  sab  rishte  naate  aage  pīchhe  rāheñ  thiiñ
terā  ban  ke  rahne  vaale  māre-bāñdhe  ham  hī  the
duniyā  ham  se  letī  kyā  aur  ham  duniyā  ko  dete  kyā
sab  the  sīdhe-sāde  buzdil  āḌe-tirchhe  ham  hī  the
ham  the  apne  aage  pīchhe  aur  nazar  meñ  koī  na  thā
aisā  surma  'anvar'  apnī  aañkh  meñ  Daale  ham  hī  the