Abdul Mannan Tarzi

marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage

Abdul Mannan Tarzi

Darbhanga, Bihar, India

1940

marhala shauq hai lafz-o-bayāñ se aage

ek sho.ala hai koī barq-e-tapāñ se aage

apnī hairat to hai ilm yaqīñ se pahle

batā mujh ko hai kyā mere gumāñ se aage

haañ mirā shauq-laqā terī ināyat sahī

kyā milā mujh ko magar ijz-e-bayāñ se aage

kyuuñ banā Daalā ise merī nigāhoñ ġhurūr

terā jalva hai agar husn-e-butāñ se aage

apnī ḳhalvat se kabhī bhī na bāhar jhāñkā

mujh ko jaane na diyā mere makāñ se aage

kuchh nahīñ is ke sivā apnī nigāhoñ bisāt

kuchh dikhā.ī na diyā sūd-o-ziyāñ se aage

fahm-o-idrāk pe bhī mere hai pahrā terā

aur saare makāñ saare zamāñ se aage

imtihāñ ḳhatm nahīñ hotā isī par 'tarzī'

jū-e-ḳhūñ laanī hai ik ashk-e-ravāñ se aage

Top Urdushayar.com