Yusuf Zafar

jo huruf likh gaya tha meri aarzu ka bachpan

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972

jo hurūf likh gayā thā mirī aarzū bachpan

unheñ dho sake na dil se mirī zindagī ke sāvan

vo jo din bikhar chuke haiñ vo jo ḳhvāb mar chuke haiñ

maiñ unhī huuñ mujāvir mirā dil unhī madfan

yahī ek aarzū thī ki mujhe koī pukāre

so pukārtī hai ab tak mujhe apne dil dhaḌkan

koī TūTtā sitāra mujhe kaash phir sadā de

ki ye koh-o-dasht-o-sahrā haiñ sukūt-e-shab se raushan

tirī manzil-e-vafā meñ huā ḳhud se āshnā maiñ

tirī yaad karam hai ki yahī hai dost dushman

tire rū-ba-rū huuñ lekin nahīñ rū-shanās tujh se

tujhe dekhne na degī tire dekhne uljhan

'zafar' aaj dil aalam hai ajab maiñ kis se pūchhūñ

vo sabā kidhar se aa.ī jo khilā ga.ī ye gulshan

Top Urdushayar.com