Yusuf Zafar

hum garche dil o jaan se bezar hue hain

Yusuf Zafar

Mari, Punjab, Pakistan

1914-1972
ham garche dil o jaan se bezār hue haiñ
ḳhush haiñ ki tire ġham ke sazā-vār hue haiñ
uTThe haiñ tire dar se agar sūrat-e-dīvār
ruḳhsat bhī to juuñ sāya-e-dīvār hue haiñ
kyā kahiye nazar aatī hai kyuuñ ḳhvāb ye duniyā
kyā jāniye kis ḳhvāb se bedār hue haiñ
āñkhoñ meñ tire jalve liye phirte haiñ ham log
ham log ki rusvā sar-e-bāzār hue haiñ
kuchh dekh ke piite haiñ lahū ahl-e-tamannā
mai-ḳhvār kisī baat pe mai-ḳhvār hue haiñ
zanjīr-e-havādis kī hai jhankār bahar-gām
kyā jurm kiyā thā ki giraftār hue haiñ
iz.hār-e-ġham-e-zīst kareñ kyā ki 'zafar' ham
vo ġham haiñ ki sharminda-e-iz.hār hue haiñ
Top Urdushayar.com