bhūle  hue  haiñ  sab  ki  hai  kār-e-jahāñ  bahut
lekin  vo  ek  yaad  hai  dil  par  garāñ  bahut
kuchh  raftagāñ  ke  ġham  ne  bhī  rakkhā  hameñ  niDhāl
kuchh  sadma-hā-e-nau  se  rahe  nīm-jāñ  bahut
ham  ko  na  zulf-e-yār  na  dīvār  se  ġharaz
ham  ko  to  yād-e-yār  kī  parchhā.iyāñ  bahut
vo  sard-mehriyāñ  ki  hameñ  raakh  kar  ga.iiñ
sunte  haiñ  pahle  ham  bhī  the  ātish-ba-jāñ  bahut
ik  mauj-e-fitna-sar  ki  ravāñ  har  nafas  meñ  hai
har  dam  yaqīñ  se  pahle  uThe  haiñ  gumāñ  bahut
ab  ke  junūñ  meñ  mauj-e-sabā  kā  bhī  haath  hai
mauj-e-sabā  ki  ab  ke  uThī  sargirāñ  bahut
ab  ye  ḳhabar  nahīñ  vo  samundar  hai  yā  sarāb
apne  yahāñ  hai  tishnagī-e-jism-o-jāñ  bahut
sahrā  se  varna  apnā  ilāqa  nahīñ  hai  kuchh
āshuftagī-e-sar  kī  havā  hai  yahāñ  bahut