sahrā  se  bhī  vīrāñ  mirā  ghar  hai  ki  nahīñ  hai
is  tarah  se  jiinā  bhī  hunar  hai  ki  nahīñ  hai
ye  duniyā  basā.ī  hai  jo  ik  be-ḳhabarī  kī
is  meñ  kahīñ  yādoñ  kā  guzar  hai  ki  nahīñ  hai
hai  jism  ke  zindāñ  meñ  vahī  ruuh  kī  fariyād
is  karb-e-musalsal  se  mafar  hai  ki  nahīñ  hai
dīvār  ke  saa.e  ne  tumheñ  rok  liyā  thā
ab  himmat-e-īmā-e-safar  hai  ki  nahīñ  hai
jis  ke  liye  be-ḳhvāb  rahā  kartī  haiñ  āñkheñ
vo  aañkh  bhī  āshufta  magar  hai  ki  nahīñ  hai
ham  shola-e-jāñ  tez  havāoñ  se  bachā  kar
zinda  haiñ  magar  us  ko  ḳhabar  hai  ki  nahīñ  hai
ab  kaun  rahā  hai  jo  hameñ  itnī  ḳhabar  de
jo  haal  idhar  hai  vo  udhar  hai  ki  nahīñ  hai