Mohammad Ajmal Niyazi

iztirab-e-KHak-e-amjad mein kahin rahta hai wo

Mohammad Ajmal Niyazi

1946
iztirāb-e-ḳhāk-e-amjad meñ kahīñ rahtā hai vo
kā.enāt-e-rūh-e-ahmad meñ kahīñ rahtā hai vo
dā.era-dar-dā.era sadiyāñ bulātī haiñ use
sachchī āvāzoñ ke gumbad meñ kahīñ rahtā hai vo
DhūñDne nikle haiñ jis ko ilm ke sahrā meñ ham
dard-o-ġham kī rāh-e-abjad meñ kahīñ rahtā hai vo
yaad aatā hai musībat maiñ duāoñ kī tarah
shahr ke vīrān ma.abad meñ kahīñ rahtā hai vo
muntazir hai zarre zarre kī nigāhoñ meñ lahū
surḳh-rū hone kī sarhad meñ kahīñ rahtā hai vo
munkashif hotī huī hairat meñ us ko dekhiye
ik nigāh-e-ḳhvāb kī zad meñ kahīñ rahtā hai vo
ik irāde kī tarah 'ajmal' diloñ ke darmiyāñ
arz-e-jāñ kī āḳhirī had meñ kahīñ rahtā hai vo
Top Urdushayar.com