jin  kī  hasrat  meñ  dil-e-rusvā  ne  ġham  khaa.e  bahut
sañg  ham  par  in  darīchoñ  ne  hī  barsā.e  bahut
raushnī  ma.adūm  gahre  ho  chale  saa.e  bahut
jaane  kyuuñ  tum  aaj  kī  shab  mujh  ko  yaad  aa.e  bahut
qismat-e-ahl-e-qafas  phūloñ  kī  ḳhushbū  bhī  nahīñ
yuuñ  to  gulshan  meñ  sabā  ne  phuul  mahkā.e  bahut
log  is  ko  bhī  agar  kahte  haiñ  to  kah  leñ  bahār
muskurā.e  kam  shagūfe  aur  murjhā.e  bahut
ek  aañsū  bhī  gire  to  guuñj  uThtī  hai  zamīñ
aaj  to  ham  apnī  tanhā.ī  se  ghabrā.e  bahut
ek  rasm-e-sarfaroshī  thī  so  ruḳhsat  ho  ga.ī
yuuñ  to  dīvāne  hamāre  ba.ad  bhī  aa.e  bahut
ishrat-e-hastī  pe  thī  'mahtāb'  duniyā  kī  nazar
dil  ko  kyā  kahiye  ki  us  ne  dard  apnā.e  bahut