jab  tak  mujhe  nasīb  tirī  dostī  rahī
har  jāda-e-hayāt  meñ  ik  dilkashī  rahī
dil  meñ  tire  ḳhayāl  kī  tābāniyoñ  ke  saath
dard-e-shab-e-firāq  kī  bhī  tīrgī  rahī
yuuñ  to  har  ek  ġhamza-o-ishva  thā  dil-fareb
lekin  vo  ik  nigāh  jo  dil  par  jamī  rahī
phir  is  ke  ba.ad  ho  ga.ī  tārīk  rāh-e-zīst
jab  tak  tumhārā  saath  rahā  raushnī  rahī
saaqī  tirī  navāzish-e-paiham  ke  bāvajūd
mahsūs  ye  huā  ki  abhī  tishnagī  rahī
tum  kyā  ga.e  ki  zindagī  be-kaif  ho  ga.ī
jab  tak  ki  tum  qarīb  rahe  be-ḳhudī  rahī
thā  ik  hujūm-e-yās  jo  baḌhtā  gayā  'nadīm'
mahrūm-e-imbisāt  mirī  zindagī  rahī