vo  baam  pe  phir  jalva-numā  mere  liye  hai
gul-bār-o-ziyā-bār  fazā  mere  liye  hai
pur-nūr  huā  jaatā  hai  har  jāda-e-muġhazal
peshāni-e-sīmīñ  kī  ziyā  mere  liye  hai
tā-hadd-e-nazar  phail  gayā  rañg  fazā  meñ
ḳhush-rañg  vo  tahrīr-e-hinā  mere  liye  hai
ruḳhsār-o-lab-o-gesū-o-abrū  ke  jahāñ  meñ
har  gaam  pe  ik  hashr  bapā  mere  liye  hai
kuchh  dard  kī  shiddat  meñ  kamī  hai  to  sahī  ab
shāyad  tire  hoñToñ  pe  duā  mere  liye  hai
go  taab  nahīñ  aur  sitam  sahne  kī  phir  bhī
ahbāb  kī  har  tarz-e-jafā  mere  liye  hai
maiñ  ab  bhī  'nadīm'  apne  muqaddar  pe  huuñ  nāzāñ
vo  naqsh-e-qadam  rāh-numā  mere  liye  hai