naḳhl-e-umīd-o-ārzū  be-barg-o-bār  hai
nākāmī-e-hayāt  pe  dil  sharmsār  hai
dāmān-e-sabr  hijr  meñ  go  tār-tār  hai
va.ade  kā  un  ke  phir  bhī  hameñ  e.atibār  hai
fikr-e-jahāñ  mujhe  na  ġham-e-rozgār  hai
phir  bhī  na  jaane  kis  liye  dil  be-qarār  hai
shām-e-firāq  shiddat-e-ġham  be-shumār  hai
mushtāq-e-dīd  aañkh  bhī  ab  ashk-bār  hai
gulshan  meñ  un  ko  dekh  ke  mahv-e-ḳhirām-e-nāz
samjhī  nigāh-e-shauq  ki  raqs-e-bahār  hai
yuuñ  to  hazār  baar  use  aazmā  chuke
phir  e.atibār-e-va.ada-e-ġhaflat-shi.ār  hai
muddat  huī  hai  qat-e-ta.alluq  kiye  'nadīm'
us  jān-e-intizār  kā  phir  intizār  hai