phir  un  kī  nigāhoñ  ke  payām  aa.e  hue  haiñ
phir  qalb-o-nazar  baḳht  pe  itrā.e  hue  haiñ
paimāna  ba-kaf  baiTh  ke  maiḳhāne  meñ  saaqī
ham  gardish-e-hālāt  ko  Thahrā.e  hue  haiñ
māhaul  munavvar  hai  mo.attar  haiñ  fazā.eñ
mahsūs  ye  hotā  hai  ki  vo  aa.e  hue  haiñ
gesū  haiñ  ki  barsāt  kī  ghanghor  ghaTā.eñ
aariz  haiñ  ki  gul  duudh  meñ  nahlā.e  hue  haiñ
kyā  baḳhsheñge  vo  anjuman-e-nāz  ko  zīnat
jo  phuul  sar-e-shāḳh  hī  murjhā.e  hue  haiñ
ho  chashm-e-karam  un  pe  bhī  ai  pīr-e-ḳharābāt
jo  ābla-pā  dar  pe  tire  aa.e  hue  haiñ
hai  dasht-navardī  hī  'nadīm'  un  kā  muqaddar
jo  bārgah-e-husn  se  Thukrā.e  hue  haiñ