'nadīm'  un  kī  zabāñ  par  phir  hamārā  naam  hai  shāyad
hamārī  fikr  meñ  phir  gardish-e-ayyām  hai  shāyad
sar-e-kū-e-butāñ  jo  ek  amboh-e-harīfāñ  hai
farāz-e-bām  par  ab  bhī  vo  jalva  aam  hai  shāyad
mire  ahbāb  bhī  ḳhush  haiñ  mirī  barbādī-e-dil  par
sulūk-e-dostāñ  logo  isī  kā  naam  hai  shāyad
sar-e-mahfil  nigāhoñ  kā  tasādum  dekhne  vaalo
kisī  ko  phir  kisī  se  aa  paḌā  kuchh  kaam  hai  shāyad
ajab  andāz  se  aa.ī  hai  kuchh  aThkheliyāñ  kartī
shamīn-e-jāñ-fizā  ke  paas  kuchh  paiġhām  hai  shāyad
ḳhayāl  aatā  hai  aksar  dekh  kar  ruḳhsār-o-gesū  ko
na  aisī  sub.h  hai  shāyad  na  aisī  shaam  hai  shāyad
nazar  bhī  ab  nahīñ  uThtī  hamārī  samt  mahfil  meñ
'nadīm'  īsār-o-ulfat  kā  yahī  anjām  hai  shāyad