zauq-e-sujūd  le  gayā  mujh  ko  kahāñ  kahāñ
lekin  mire  nasīb  meñ  vo  āstāñ  kahāñ
baḳhshā  hai  tere  naqsh-e-qadam  ne  jo  ḳhāk-e-kū
vo  husn-e-dil-navāz  sar-e-kahkashāñ  kahāñ
maiñ  sochtā  huuñ  āriz-o-gesū  ko  dekh  kar
Thahregā  sub.h-o-shām  kā  ye  kārvāñ  kahāñ
ḳhud  se  bhī  ho  sakī  na  mulāqāt  umr-bhar
apnī  talāsh  le  ga.ī  mujh  ko  kahāñ  kahāñ
ījād  kar  rahe  haiñ  vo  jaur-o-sitam  na.e
jaur-o-sitam  se  dabtā  hai  azm-e-javāñ  kahāñ
merī  nigāh-e-shauq  gadāgar  banī  huī
jalvoñ  kī  bhiik  maañg  rahī  hai  kahāñ  kahāñ
hai  baaz  yuuñ  to  ab  bhī  dar-e-mai-kada  'nadīm'
pahlī  sī  vo  navāzish-e-pīr-e-muġhāñ  kahāñ