tamām  jism  kī  parteñ  judā  judā  karke
jiye  chale  ga.e  qistoñ  meñ  log  mar  mar  ke
har  ek  mauj  mire  paañv  chhū  ke  lauT  ga.ī
kahīñ  ye  ḳhvāb  na  hoñ  niiñd  ke  samundar  ke
mirī  kamān  meñ  haiñ  nā-tavāniyāñ  merī
ḳhud  apnī  zaat  pe  haiñ  tiir  mere  tevar  ke
ajab  hasīn  ḳhayāloñ  ko  zehn  pāltā  hai
tarāshtā  hai  sanam  bhī  to  sañg  marmar  ke
bhaTak  rahī  hai  kahāñ  ruuh  sochnā  hogā
nikal  ga.ī  thī  kabhī  qaid-e-jism  se  Dar  ke
maiñ  hādsāt  ko  har  gaam  par  bulātā  huuñ
bahut  shikasta  haiñ  dīvār-o-dar  muqaddar  ke
'fazā'!  zarūr  koī  taaza  gul  khilā.egā
qalam  ne  ḳhuun  mirā  pī  liyā  hai  jī  bhar  ke