apāhij  baap  ko  beTā  akelā  chhoḌ  jaatā  hai
musībat  meñ  to  aksar  saath  saaya  chhoḌ  jaatā  hai
ghanerā  ho  shajar  kitnā  nahīñ  shādāb  gar  shāḳheñ
to  in  shāḳhoñ  pe  phir  aanā  parinda  chhoḌ  jaatā  hai
uThā  paatā  nahīñ  ḳhālī  shikam  jab  bojh  baste  kā
miTāne  bhuuk  bachpan  kī  vo  basta  chhoḌ  jaatā  hai
qalam  honā  thā  jis  ke  haath  meñ  thāme  vo  ḳhanjar  hai
kahīñ  ilm-o-adab  kā  apnā  rastā  chhoḌ  jaatā  hai
hifāzat  mulk  kī  kartā  hai  antim  saañs  tak  apnī
vahī  pīchhe  bilaktā  ek  rishta  chhoḌ  jaatā  hai