Shahzad Ahmad

zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
zamīñ apne lahū se āshnā hone hī vaalī hai
bahut kuchh ho chukā ab intihā hone hī vaalī hai
savā neze pe sūraj aa gayā ab dekhiye kyā ho
qayāmat ek do pal meñ bapā hone hī vaalī hai
mirī āñkhoñ talak sho.ala lahū kā aan pahuñchā hai
ye talḳhī ab zabāñ kā zā.iqa hone hī vaalī hai
bahut din jāgte ḳhvāboñ ko āñkhoñ se lagāyā hai
ye qurbat kuchh dinoñ tak fāsla hone hī vaalī hai
vahī gandum kā daana hai vahī haiñ is pe tāzīreñ
maiñ Dartā huuñ ki phir mujh se ḳhatā hone hī vaalī hai
yahāñ se rāsta koī kisī jānib nahīñ jaatā
yahīñ se ik safar kī ibtidā hone hī vaalī hai
khule the muddatoñ se be-sabab āñkhoñ ke darvāze
ye bastī aaj kal meñ be-sadā hone hī vaalī hai
mire ghar tak bhī aa pahuñchā hai āḳhir shor galiyoñ kā
ye tanhā.ī mire dil se judā hone hī vaalī hai
ga.e-guzre dinoñ kī dhuul ab āñkhoñ se dho Daalo
koī sūrat kahīñ se rūnumā hone hī vaalī hai
sitāre ḳhāk-e-pā-e-ādmiyat banñe vaale haiñ
ye miTTī ab mire sar kī ridā hone hī vaalī hai
badalne ke liye betāb hai 'shahzād' ye duniyā
ravā jo chiiz thā ab nā-ravā hone hī vaalī hai
Top Urdushayar.com