tirī  talāsh  to  kyā  terī  aas  bhī  na  rahe
ajab  nahīñ  ki  kisī  din  ye  pyaas  bhī  na  rahe
har  ek  samt  ḳhalā  hī  ḳhalā  nazar  aa.eñ
ḳharāba-e-dil-e-vīrāñ  meñ  yaas  bhī  na  rahe
ġham-e-firāq  kī  talḳhī  vo  dasht  hai  ki  jahāñ
koī  qarīb  to  kyā  ās-pās  bhī  na  rahe
tirā  ḳhayāl  hī  par  tol  kar  uḌā  le  jaa.e
koī  umiid  sharīk-e-havās  bhī  na  rahe
tamām  rañg  hai  ḳhushbū  tamām  ḳhushbū  rañg
guloñ  se  rañg  uḌā  leñ  to  baas  bhī  na  rahe
luTā  hai  qāfila-e-āgahī  do-rāhe  par
zamāna-sāz  to  kyā  ḳhud-shanās  bhī  na  rahe
kisī  tarīq  se  'shahzād'  dil  ko  samjhā  leñ
na  muskurā.e  magar  yuuñ  udaas  bhī  na  rahe