be-sabab  chaak  par  dhare  the  ham
bante  bante  bhī  kyā  bane  the  ham
zabt-e-ġham  haar  hī  gayā  āḳhir
us  ko  dekhā  to  ro  paḌe  the  ham
tujh  ko  kāñTe  kahāñ  se  lag  jaate
aage  aage  jo  chal  rahe  the  ham
hādisa  kis  taraf  ko  le  aayā
ghar  se  kyā  soch  kar  chale  the  ham
sach  batā  ḳhāliq-e-jahān-e-ḳharāb
is  tamāshe  ko  hī  bane  the  ham
ho  ga.ī  shaam  tab  milī  duniyā
saarā  din  DhūñDe  phire  the  ham