Shahzad Ahmad

wo ja chuka hai to kyun be-qarar itne ho

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012

vo chukā hai to kyuuñ be-qarār itne ho

mohabbat us se karo jis ko bhuul sakte ho

nishān-e-manzil-e-jāñ gar nahīñ milā na sahī

chalo safar to kiyā hai kahīñ to pahuñche ho

tamām umr na milne hausla sahī

tum apne dil meñ koī aarzū to rakhte ho

safar bhī tum ne kiyā āftāb sūrat

abhī tak apne naqsh-e-qadam pe chalte ho

jo raushnī hai diloñ meñ atā tumhārī hai

charāg tum nahīñ tum charāg jaise ho

diloñ ke so.e hue ġham abhī to jaage haiñ

zarā der to baiTho abhī to aa.e ho

tumhāre lahje ye zer-o-bam qayāmat hai

kabhī rafīq kabhī nā-shanās lagte ho

ḳhudā sunā hai rag-e-jāñ ke paas rahtā hai

magar tum aur bhī nazdīk aate jaate ho

tamām din rahī saa.e justujū 'shahzād'

huī hai raat to āñkheñ talāsh karte ho

Top Urdushayar.com