pyaas  ko  dariyā  rahā  aur  ḳhaak  ko  sahrā  rahā
is  ke  ma.anī  ye  hue  ke  ye  safar  achchhā  rahā
ab  maiñ  Duubā  tab  maiñ  Duubā  bas  isī  ummīd  meñ
ik  samundar  paas  mere  rāt-bhar  baiThā  rahā
maiñ  koī  manzil  nahīñ  thā  miil  kā  patthar  thā  bas
ba.ad  mere  bhī  musalsal  rāsta  chaltā  rahā
ek  aahaT  aa  ke  mere  dar  se  vāpas  ho  ga.ī
aur  maiñ  kānoñ  ko  takiye  se  dabā  sotā  rahā
sun  liyā  thā  ek  din  ik  saañs  hogī  āḳhirī
aur  phir  har  saañs  pe  us  saañs  kā  dhaḌkā  rahā
ik  zarā  hazrat  ne  sab  kuchh  hī  badal  kar  rakh  diyā
jo  kabhī  ik  shaḳhs  thā  ab  vo  faqat  chehra  rahā
zindagī  ab  aur  koī  ġham  diyā  to  dekhiyo
ḳhaak  kar  dūñgā  tujhe  maiñ  ye  mirā  va.ada  rahā