baaġh  kā  baaġh  ujaḌ  gayā  koī  kaho  pukār  kar
kis  ne  shafaq  pe  mal  diye  phūloñ  ke  rañg  utaar  kar
shaam  ko  mauja-e-havā  jānib-e-dasht  le  uḌe
sub.h  chaman  meñ  aa  ga.e  ḳhaak  pe  shab  guzār  kar
sāya-e-āftāb  meñ  barg  o  sharar  ThiThur  ga.e
barf  kahāñ  se  aa  ga.ī  dhuup  kā  ruup  dhaar  kar
paas  hī  manzil-e-murād  ḳhaak  meñ  thī  chhupī  huī
raah  meñ  pā-burīda  log  baiTh  chuke  the  haar  kar
aaj  tire  ḳhayāl  se  dil  ko  bahut  sakūñ  milā
Duub  chalī  ye  mauj  bhī  mujh  ko  ubhār  ubhār  kar
jalva-e-māhtāb  bhī  sho.abada-e-ḳhayāl  hai
raat  ke  paas  kuchh  nahīñ  sub.h  kā  intizār  kar
valvala-e-hayāt  ke  dil  meñ  ka.ī  charāg  the
vaqt  ne  sab  bujhā  diye  ek  hī  phūñk  maar  kar