Shahzad Ahmad

wo mere pas hai kya pas bulaun usko

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012

vo mire paas hai kyā paas bulā.ūñ us ko

dil meñ rahtā hai kahāñ DhūñDne jā.ūñ us ko

aaj phir pahlī mulāqāt se āġhāz karūñ

aaj phir duur se dekh ke aa.uuñ us ko

qaid kar luuñ use āñkhoñ ke nihāñ-ḳhāne meñ

chāhtā huuñ ki kisī se na milā.ūñ us ko

use duniyā nigāhoñ se karūñ maiñ mahfūz

vo vahāñ ho ki jahāñ dekh na pā.ūñ us ko

chalnā chāhe to rakhe paañv mire siine par

baiThnā chāhe to āñkhoñ pe biThā.ūñ us ko

vo mujhe itnā subuk itnā subuk lagtā hai

kabhī gir jaa.e to palkoñ se uThā.ūñ us ko

mujhe ma.alūm hai āḳhir ko judā honā hai

lekin ik baar to siine se lagā.ūñ us ko

yaad se us nahīñ ḳhālī koī bhī lamha

phir bhī Dartā huuñ kahīñ bhuul na jā.ūñ us ko

mujh pe ye raaz isī ek havāle se khulā

baat us hai magar kaise batā.ūñ us ko

ye mirā dil mirā dushman mirā dīvāna dil

chāhtā hai ki sabhī zaḳhm dikhā.ūñ us ko

aaj to dhuup meñ tezī bahut hai varna

apne saa.e se bhī 'shahzād' bachā.ūñ us ko

Top Urdushayar.com