Shahzad Ahmad

Dub jaenge sitare aur bikhar jaegi raat

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012

Duub jā.eñge sitāre aur bikhar jā.egī raat

dekhtī rah jā.eñgī āñkheñ guzar jā.egī raat

raat pahlā pahr hai ahl-e-dil ḳhāmosh haiñ

sub.h tak rotī huī āñkhoñ se bhar jā.egī raat

aarzū be-hisī gar yahī aalam rahā

be-talab aa.egā din aur be-ḳhabar jā.egī raat

raushnī kaisī agar aalam añdherā ho gayā

dil meñ bas jā.egī āñkhoñ meñ utar jā.egī raat

koī aahaT bhī na sun pā.egā ḳhvābīda chaman

ḳhushk pattoñ par dabe paañv guzar jā.egī raat

dil meñ rah jā.eñge tanhā.ī ke qadmoñ ke nishāñ

apne pīchhe kitnī yādeñ chhoḌ kar jā.egī raat

shaam se so ga.e haiñ log āñkheñ muuñd kar

kis darvāza khulegā kis ke ghar jā.egī raat

der tak 'shahzād' āñkhoñ meñ phiregī chāñdnī

kaT to jā.egī magar kyā kuchh na kar jā.egī raat

Top Urdushayar.com