Shahzad Ahmad

jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
jo dil meñ khaTaktī hai kabhī kah bhī sakoge
yā umr bhar aise hī pareshān phiroge
patthar kī hai dīvār to sar phoḌnā sīkho
ye haal rahegā to jiyoge na maroge
tūfān uThāoge kabhī apne jahāñ meñ
yā aañkh ke paanī hī ko sailāb kahoge
so.e ho añdhere meñ charāġhoñ ko bujhā kar
aa.egā nazar ḳhaak agar jaag uThoge
apnī hī haqīqat ko na pahchānñe vaalo
tum parda-e-aflāk ko kyā chaak karoge
ai barq kī mānind guzarte hue lamho
kyā aañkh jhapakne kī bhī mohlat nahīñ doge
raushan bhī karoge kabhī tārīki-e-shab ko
yā sham.a kī mānind pighalte hī rahoge
arzāñ hai bahut ḳhuun farozāñ hai bahut shaam
kyā apnī hī mahfil meñ charāġhāñ na karoge
maanā ki kaThin raah hai dushvār safar hai
kyā ek qadam bhī na mire saath chaloge
guzre hue lamhe kī vo be-nām kasak huuñ
tum jis kī tamannā meñ pareshān phiroge
chāhoge nishāñ bhī na rahe merā jahāñ meñ
gar zikr karoge to mirā naam na loge
ye gard-e-safar haal vo kar degī ki 'shahzād'
tum apnī bhī sūrat ko na pahchān sakoge
Top Urdushayar.com