Shahzad Ahmad

yun KHak ki manind na rahon pe bikhar ja

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
yuuñ ḳhaak kī mānind na rāhoñ pe bikhar jā
kirnoñ kī tarah jhiil ke siine meñ utar jā
mat bhuul ki ab bhī hai tirī ghaat meñ sayyād
suntā hai koī paañv kī āvāz Thahar jā
mat dekh tamannā kī taraf aañkh uThā kar
andhoñ kī tarah nuur ke dariyā se guzar jā
manzil kī talab apnī taraf khīñch rahī hai
aur raat musāfir se ye kahtī hai ki ghar jā
itnā to samajh kyā hai tirī raah meñ haa.il
aahū kī tarah apne hī saa.e se na Dar jā
shāyad ki koī barhana-pā ho tire pīchhe
jaate hue is raah ko kāñToñ se na bhar jā
patthar nahīñ āñkheñ to ye aañsū haiñ baḌī chiiz
bhīge hue phūloñ kī tarah aur nikhar jā
yā dasht meñ us bazm kī raunaq ko na kar yaad
yā shahr kī dīvār se sar phoḌ ke mar jā
ik umr se royā huuñ na taḌpā huuñ meñ 'shahzād'
ehsās kā bādal kabhī barsā hai na garjā
Top Urdushayar.com