Dūbte  vaqt  jo  kuchh  haath  meñ  gauhar  aa.e
sab  ke  sab  nāḳhudā  ke  haath  meñ  ham  dhar  aa.e
jañg  laḌne  ga.e  ham  jo  sahar-e-duniyā  se
shaam  ko  ghar  ka.ī  hissoñ  meñ  bikhar  kar  aa.e
us  kī  āñkhoñ  ko  tamāshe  kī  tamannā  hai  bahut
us  se  kahnā  ki  kisī  raat  mire  ghar  aa.e
haa.e  us  naql-e-makānī  ne  kiyā  hai  barbād
jitne  basne  ko  ga.e  utne  ujaḌ  kar  aa.e