bhaTaktī  haiñ  zamāne  meñ  havā.eñ
kise  āvāz  deñ  kis  ko  balā.eñ
ye  dil  kā  shahr  mushkil  se  basā  thā
chalo  is  shahr  meñ  ab  ḳhaak  uḌā.eñ
kabhī  duniyā  par  us  ke  raaz  kholeñ
kabhī  apnī  bhī  āgāhī  na  paa.eñ
kabhī  shor-e-qayāmat  se  khule  aañkh
kabhī  pattā  hile  aur  chauñk  jaa.eñ
mirī  duniyā  meñ  rahnā  chāhtī  haiñ
purānī  sohbatoñ  kī  apsarā.eñ
mire  kānoñ  meñ  basnā  chāhtī  haiñ
ga.e-guzre  zamānoñ  kī  sadā.eñ