dil  o  nazar  pe  tire  ba.ad  kyā  nahīñ  guzrā
tujhe  gumāñ  ki  koī  hādsa  nahīñ  guzrā
vahāñ  vahāñ  bhī  mujhe  le  gayā  hai  shauq-e-safar
kabhī  jahāñ  se  koī  qāfila  nahīñ  guzrā
agarche  tū  bhī  nahīñ  ab  diloñ  kī  duniyā  meñ
magar  yahāñ  koī  tere  sivā  nahīñ  guzrā
ham  ab  to  us  ko  bhī  ik  hādsa  samajhte  haiñ
ḳhayāl  thā  ki  koī  hādsa  nahīñ  guzrā
kabhī  kabhī  nazar  aa.ī  umiid  bhī  'shahzād'
hamārā  vaqt  kabhī  ek  sā  nahīñ  guzrā