Wafa Naqvi

zindagi ki tha alamat ek hunar be-jaan sa

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983

zindagī thā alāmat ik hunar be-jān

rah gayā tasvīr koī dekh kar hairān

terī yādeñ dafn kar detī haiñ us ke zor ko

roz uThtā to hai dil meñ jā-ba-jā tūfān

raunaq-e-shahr-e-riyā tāḳhīr honī thī huī

rāste meñ paḌ gayā thā ik khañDar vīrān

aap ā.eñge to vahshat saath le kar ā.eñge

rāsta aatā hai mere ghar pe ik sunsān

pūchhne aatā nahīñ koī mire hālāt ab

maiñ vatan meñ ho gayā huuñ apne anjān

jab safar tai kar liyā tab is andāza huā

dekhne ko rāsta to thā bahut āsān

koī pūchhe rāhbar se raḳht-e-jāñ raḳht-e-safar

qāfila jaatā kahāñ hai be-sar-o-sāmān

kāġhzī phūloñ pe titlī koī aa.ī nahīñ

mez par rakkhā huā thā yuuñ to ik gul-dān

Top Urdushayar.com