Wafa Naqvi

kabhi jo dhup hamare makan mein aa jae

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983
kabhī jo dhuup hamāre makāñ meñ aa jaa.e
to sāya-dār shajar bhī amaañ meñ aa jaa.e
maiñ shāhzāda nahīñ to faqīr hī behtar
kahīñ to zikr mirā dāstāñ meñ aa jaa.e
maiñ terā naam salīqe se to pukārūñ magar
ḳhudā-na-ḳhvāsta luknat zabāñ meñ aa jaa.e
kise Dubonā hai aur kis ko paar karnā hai
shu.ūr itnā to āb-e-ravāñ meñ aa jaa.e
maiñ ek lamhe ko sadiyoñ kī zindagī samjhūñ
mirā yaqīñ jo hisār-e-gumāñ meñ aa jaa.e
jhulas chukā hai bahut dhuup meñ badan merā
so us se kahtā huuñ ab sā.ebāñ meñ aa jaa.e
maiñ apnī aql se kuchh aur kaam le lūñgā
kabhī ye dil bhī mirā imtihāñ meñ aa jaa.e
safar kī saarī aziyyat pe ḳhaak uḌtī hai
bhaTak ke koī agar kārvāñ meñ aa jaa.e
maiñ jis ko raaz batātā huuñ apnī ḳhalvat ke
ajab nahīñ ki saf-e-dushmanāñ meñ aa jaa.e
Top Urdushayar.com