na  niiñd  hai  na  ḳhvāb  hai  na  yaad  hai  na  raat  hai
zamīñ  na  āsmān  hai  zamāñ  na  kā.enāt  hai
ye  jism-o-jāñ  kā  qāfila  hai  rāsta  pe  kaun  se
na  manziloñ  kī  aas  hai  na  rahravoñ  kā  saath  hai
umiid  o  aarzū  ke  rañg  kyuuñ  phīke  lag  rahe  haiñ  ab
kamī  hai  āb-o-gil  meñ  kuchh  lahū  meñ  koī  baat  hai
hai  un  ke  vāste  tamām  fat.h-o-kāmrāniyāñ
mire  liye  hamesha  se  jo  hai  to  sirf  maat  hai
maiñ  lahza  lahza  kaT  ke  gir  rahā  huuñ  andhī  khaa.ī  meñ
ye  zindagī  kā  rāsta  nahīñ  hai  pul-sirāt  hai
hai  vasl  apne-āp  se  firāq  apne-āp  se
nahīñ  hai  koī  bhī  yahāñ  bas  ek  merī  zaat  hai
'māmūn'  azal  se  tā-abad  nahīñ  hai  koī  raushnī
ḳhalā  meñ  duur  duur  tak  bas  ik  aziim  raat  hai