jhulaste  lamhoñ  kā  lams  le  kar  maiñ  chal  rahā  huuñ
ḳhud  apnī  dozaḳh  kī  aag  khā  kar  maiñ  pal  rahā  huuñ
safar  kī  rūdād  bhī  mirī  kuchh  ajiib  sī  hai
maiñ  aḳhzarī  pahāḌiyoñ  se  gir  kar  sambhal  rahā  huuñ
mirā  vajūd  o  adam  bhī  ik  hādsa  nayā  hai
maiñ  dafn  huuñ  kahīñ  kahīñ  se  nikal  rahā  huuñ
chitā  bujhā  de  koī  koī  asthiyāñ  bahā  de
maiñ  aarzū  meñ  sahar  kī  sadiyoñ  se  jal  rahā  huuñ
samundaroñ  kā  svaad  merī  zabān  par  hai
maiñ  sūñgh  kar  machhliyoñ  kī  ḳhushbū  machal  rahā  huuñ
nahīñ  hai  'māmūn'  saath  mere  yahāñ  pe  koī
akelā  hī  zindagī  kī  rāhoñ  pe  chal  rahā  huuñ