charāġh  duniyā  ke  saare  bujhā  ke  chaltā  huuñ
añdherī  raat  meñ  ik  dil  jalā  ke  chaltā  huuñ
dikhā.ī  detā  hai  darvāza-e-fanā  mujh  ko
maiñ  sab  hijāb  nazar  se  uThā  ke  chaltā  huuñ
dikhā.ī  dete  haiñ  saare  ḳhazāne  dhartī  ke
maiñ  saare  sañg  rahoñ  ke  haTā  ke  chaltā  huuñ
alam  meñ  sar  merā  koī  uThā.egā  kyūñ-kar
maiñ  ḳhvān-e-azm  meñ  sar  ko  sajā  ke  chaltā  huuñ
mujhe  pahuñchnā  hai  bas  apne-āp  kī  had  tak
maiñ  apnī  zaat  ko  manzil  banā  ke  chaltā  huuñ