Khaleel Mamoon

dil mein umang aur irada koi to ho

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949
dil meñ umañg aur irāda koī to ho
be-kaif zindagī meñ tamāshā koī to ho
ye kyā ki dafn ho ga.e chup-chāp qabr meñ
marne ke ba.ad maut kā jalsa koī to ho
koī to naam le ke pukāre hameñ yahāñ
is bhiiḌ meñ hamārā shanāsā koī to ho
miltī nahīñ hai ḳhaak kahīñ sar pe Dālne
dariyā bahut se dekhe haiñ sahrā koī to ho
āñkhoñ meñ nuur hai na halāvat zabān meñ
ahbāb itne saare haiñ mīThā koī to ho
bātoñ se aql-o-fahm kī tañg aa chukā huuñ maiñ
dānish-kade meñ ek divāna koī to ho
ye sach hai maiñ huuñ qaid ḳhayāloñ meñ ḳhvāb meñ
jiine ke vāste mire duniyā koī to ho
mar kar davām paañv ye ummīd to nahīñ
merī kahānī ba.ad meñ kahtā koī to ho
Top Urdushayar.com