dil  meñ  umañg  aur  irāda  koī  to  ho
be-kaif  zindagī  meñ  tamāshā  koī  to  ho
ye  kyā  ki  dafn  ho  ga.e  chup-chāp  qabr  meñ
marne  ke  ba.ad  maut  kā  jalsa  koī  to  ho
koī  to  naam  le  ke  pukāre  hameñ  yahāñ
is  bhiiḌ  meñ  hamārā  shanāsā  koī  to  ho
miltī  nahīñ  hai  ḳhaak  kahīñ  sar  pe  Dālne
dariyā  bahut  se  dekhe  haiñ  sahrā  koī  to  ho
āñkhoñ  meñ  nuur  hai  na  halāvat  zabān  meñ
ahbāb  itne  saare  haiñ  mīThā  koī  to  ho
bātoñ  se  aql-o-fahm  kī  tañg  aa  chukā  huuñ  maiñ
dānish-kade  meñ  ek  divāna  koī  to  ho
ye  sach  hai  maiñ  huuñ  qaid  ḳhayāloñ  meñ  ḳhvāb  meñ
jiine  ke  vāste  mire  duniyā  koī  to  ho
mar  kar  davām  paañv  ye  ummīd  to  nahīñ
merī  kahānī  ba.ad  meñ  kahtā  koī  to  ho