kā.enāt-e-ġham  meñ  zehn  ik  ḳhalā  hai
ḳhvāb  kā  parinda  jis  meñ  aḌ  rahā  hai
raat  kaT  ga.ī  hai  sub.h  ho  ga.ī  hai
dil  ko  DhūñDiye  mat  kab  kā  jal  bujhā  hai
dard  ke  sahāre  kab  talak  chaleñge
saañs  ruk  rahī  hai  fāsla  baḌā  hai
is  jagah  pe  sab  ne  haath  chhoḌ  Daalā
ye  maqām  shāyad  manzil-e-vafā  hai
TūTte  badan  meñ  dil  ajiib  shai  hai
retīlī  zamīñ  meñ  phuul  khil  rahā  hai
kyuuñ  havā  nai  badlīñ  mere  muñh  kī  bāteñ
maiñ  nai  kuchh  kahā  hai  us  nai  kuchh  sunā  hai
terī  kyā  ye  hālat  ho  ga.ī  hai  'māmūn'
ḳhud  hī  kah  rahā  hai  ḳhud  hī  sun  rahā  hai