ghar  ko  yuuñ  toḌo  ki  phir  hasrat-e-tāmīr  na  ho
koī  taqdīr  na  ho  aur  koī  tadbīr  na  ho
aise  mar  jaa.eñ  koī  naqsh  na  chhoḌeñ  apnā
yaad  dil  meñ  na  ho  aḳhbār  meñ  tasvīr  na  ho
baiThe  baiThe  yūñhī  añdhiyāre  meñ  zaa.il  ho  jaa.eñ
koī  dam-sāz  na  ho  koī  ḳhabar-gīr  na  ho
niiñd  meñ  titliyāñ  āñkhoñ  meñ  lahaktī  jaa.eñ
ḳhvāb  dekheñ  magar  us  ḳhvāb  kī  ta.abīr  na  ho
kaun  santā  hai  mire  sher  yahāñ  ab  'māmūn'
ain-mumkin  hai  mirī  baat  meñ  tāsīr  na  ho