bulā  rahā  hai  mujhe  āsmāñ  tumhārī  taraf
jalā  ke  niklā  huuñ  sab  āshiyāñ  tumhārī  taraf
maiñ  jāntā  huuñ  ki  saare  jahāñ  haiñ  ḳhatm  yahāñ
mujhe  milegā  na  koī  jahāñ  tumhārī  taraf
ḳhamoshiyoñ  kā  bas  ik  silsila  hai  duur  talak
na  koī  lafz  na  koī  zabāñ  tumhārī  taraf
har  ek  jiitā  hai  vus.at  meñ  kā.enātoñ  ke
koī  banātā  nahīñ  hai  makāñ  tumhārī  taraf
mare  ho.uuñ  ko  koī  maare  kis  tarah  āḳhir
na  koī  tiir  na  koī  sināñ  tumhārī  taraf
na  koī  dariyā  na  parbat  na  āshiyāñ  na  shajar
zamīñ  hai  koī  na  hī  āsmāñ  tumhārī  taraf
zuhūr-e-ishq  kī  duniyā  ko  chhoḌ  aayā  huuñ
maiñ  ḳhud  ko  kartā  huuñ  sab  se  nihāñ  tumhārī  taraf
maiñ  manziloñ  se  bahut  duur  aa  gayā  'māmūn'
safar  ne  kho  diye  saare  nishāñ  tumhārī  taraf