hamāre  paas  na  dil  hai  na  dil  kī  baat  koī
guzar  rahī  hai  hamāre  saroñ  se  raat  koī
akele  milte  haiñ  sahrā  ho  yā  ki  dariyā  ho
kisī  ke  saath  nahīñ  ham  na  apne  saath  koī
hamāre  chehre  pe  sau  rañg  kī  bahāreñ  haiñ
ki  jaise  qalb  meñ  zinda  hai  kā.enāt  koī
ab  is  ke  ba.ad  havā.eñ  hī  is  kā  muddat  haiñ
shajar  se  TuuT  rahā  hai  ḳhizāñ  meñ  paat  koī
tamām  fitna-e-daurāñ  mujhī  se  ubhre  haiñ
kahāñ  hai  ziist  meñ  mujh  se  alaihida  zaat  koī
hazār  baar  girā.ī  haiñ  us  kī  dīvāreñ
ki  jaise  dil  bhī  nahīñ  dil  hai  somnāt  koī
abas  maiñ  kaaT  rahā  huuñ  ye  zindagī  'māmūn'
nahīñ  hai  jiit  koī  is  meñ  aur  na  maat  koī