is  shahr-e-sañg-e-saḳht  se  ghabrā  gayā  huuñ  maiñ
jañgal  kī  ḳhushbuoñ  kī  taraf  jā  rahā  huuñ  maiñ
manzar  ko  dekh  dekh  ke  āñkheñ  chalī  ga.iiñ
hāthoñ  se  aaj  apnā  badan  DhūñDhtā  huuñ  maiñ
chillā  rahā  hai  koī  mere  lams  ke  liye
añdhiyārī  vādiyoñ  se  nikal  bhāgtā  huuñ  maiñ
qātil  ke  haath  meñ  koī  talvār  hai  na  teġh
vo  muskurā  rahā  hai  marā  jā  rahā  huuñ  maiñ
mujh  ko  vo  mere  dil  ke  evaz  de  sakeñge  kyā
'māmūn'  duniyā  vāloñ  se  kyā  māñgtā  huuñ  maiñ