fanā  ke  rāste  phūloñ  se  bhar  ga.e  shāyad
sitāre  manzil-e-shab  se  guzar  ga.e  shāyad
na  aah  dil  meñ  na  āñkhoñ  meñ  ashk  baaqī  haiñ
havās  rishta-e-ġham  paar  kar  ga.e  shāyad
jo  nuur  bharte  the  zulmāt-e-shab  ke  sahrā  meñ
vo  chāñd  taare  falak  se  utar  ga.e  shāyad
mahakte  phuul  jo  yādoñ  meñ  muskurāte  the
nafas  kī  tez  havā  se  bikhar  ga.e  shāyad
vafā  kī  raah  meñ  jo  qāfile  ravāñ  the  kahīñ
vo  manziloñ  kā  patā  hī  bisar  ga.e  shāyad
chalo  yahāñ  se  kahīñ  aur  mar  raheñ  māmūn
tuyūr-e-ġham  bhī  makāñ  ḳhālī  kar  ga.e  shāyad